dil wo kafir hai ki mujh ko na diya chain kabhi
bewafa tu bhi ise le ke pasheman hoga
Qurban Ali Salik Beg
sayyaad aur qaid-e-qafas se kare raha
jhuTi KHabar kisi ki uDai hui si hai
Qurban Ali Salik Beg
tang-dasti agar na ho 'salik'
tandurusti hazar neamat hai
Qurban Ali Salik Beg
pi sharab nam-e-rindan ta asar sun kaif ke
zikr-e-allah allah ho we gar kahe tu ram ram
Qurbi Velori
aashiyan jal gaya gulsitan luT gaya hum qafas se nikal kar kidhar jaenge
itne manus sayyaad se ho gae ab rihai milegi to mar jaenge
Raaz Allahabadi
ashk-e-gham le ke aaKHir kidhar jaen hum aansuon ki yahan koi qimat nahin
aap hi apna daman baDha dijiye warna moti zamin par bikhar jaenge
Raaz Allahabadi
umr jun jun baDhti hai dil jawan hota hai
'raaz' ye hasin ghazlen in safed baalon mein
Raaz Allahabadi

