jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein
Qateel Shifai
jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj
baT na jae tera bimar masihaon mein
Qateel Shifai
kis tarah apni mohabbat ki main takmil karun
gham-e-hasti bhi to shamil hai gham-e-yar ke sath
Qateel Shifai
kuchh kah rahi hain aap ke sine ki dhaDkanen
mera nahin to dil ka kaha man jaiye
Qateel Shifai
kya jaane kis ada se liya tu ne mera nam
duniya samajh rahi hai ki sach-much tera hun main
Qateel Shifai
kya maslahat-shanas tha wo aadmi 'qatil'
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya
Qateel Shifai
kyun sharik-e-gham banate ho kisi ko ai 'qatil'
apni suli apne kandhe par uThao chup raho
Qateel Shifai

