afsurda-dil ke waste kya chandni ka lutf
lipTa paDa hai murda sa goya kafan ke sath
Qadr Bilgarami
luT gae ek hi angDai mein aisa bhi hua
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyar bahut
Qais Rampuri
ab to ruswaiyan yaqini hain
un ke lab par mera fasana hai
Qaisar Nizami
KHizan ki zad mein hi ab tak tera gulistan tha
hamin ne aa ke bahaaron ko zindagi baKHshi
Qaisar Nizami
tamam umr rahe mera muntazir tu bhi
tamam umr mere intizar ko tarse
Qaisar Nizami
tere baghair tere intizar se thak kar
shab-e-firaq ke maron ko nind aai hai
Qaisar Nizami
tu sarapa nur hai main tera aks-e-KHas hun
kah rahe hain yun tera sab aaina-KHana mujhe
Qaisar Nizami

