kucha-e-yar markaz-e-anwar
apne daman mein dasht-e-gham ki KHak
Qabil Ajmeri
main apne gham-KHana-e-junun mein
tumhein bulana bhi jaanta hun
Qabil Ajmeri
mujhe to is darja waqt-e-ruKHsat sukun ki talqin kar rahe ho
magar kuchh apne liye bhi socha main yaad aaya to kya karoge
Qabil Ajmeri
ang-e-mahfil chahta hai ek mukammal inqalab
chand shamon ke bhaDakne se sahar hoti nahin
Qabil Ajmeri
asta hai ki kaTta jata hai
fasla hai ki kam nahin hota
Qabil Ajmeri
tazad-e-jazbaat mein ye nazuk maqam aaya to kya karoge
main ro raha hun tum hans rahe ho main muskuraya to kya karoge
Qabil Ajmeri
tum ko bhi shayad hamari justuju karni paDe
hum tumhaari justuju mein ab yahan tak aa gae
Qabil Ajmeri

