tum na mano magar haqiqat hai
ishq insan ki zarurat hai
Qabil Ajmeri
tumhaari galiyon mein phir raha hun
KHayal-e-rasm-e-wafa hai warna
Qabil Ajmeri
un ki palkon par sitare apne honTon pe hansi
qissa-e-gham kahte kahte hum kahan tak aa gae
Qabil Ajmeri
waqt karta hai parwarish barson
hadisa ek dam nahin hota
Qabil Ajmeri
ye gardish-e-zamana hamein kya miTaegi
hum hain tawaf-e-kucha-e-jaanan kiye hue
Qabil Ajmeri
ye sab ranginiyan KHun-e-tamanna se ibarat hain
shikast-e-dil na hoti to shikast-e-zindagi hoti
Qabil Ajmeri
zamana dost hai kis kis ko yaad rakkhoge
KHuda kare ki tumhein mujh se dushmani ho jae
Qabil Ajmeri

