adan ne kitni baDha li hai saltanat apni
base hain ishq o hawas sab isi ilaqe mein
Nomaan Shauque
as tere aane ki ek afwah ka aisa asar
kaise kaise log the bimar achchhe ho gae
Nomaan Shauque
chahta hun ki pukare tumhein din raat jahan
har taraf meri hi aawaz sunai de mujhe
Nomaan Shauque
chahta hun main tashaddud chhoDna
KHat hi likhte hain jawabi log sa
Nomaan Shauque
chakh liya us ne pyar thoDa sa
aur phir zahr kar diya hai mujhe
Nomaan Shauque
Dar Dar ke jagte hue kaTi tamam raat
galiyon mein tere nam ki itni sada lagi
Nomaan Shauque
dil de na de magar ye tera husn-e-be-misal
wapas na kar faqir ko aaKHir badan to hai
Nomaan Shauque

