ishq ka matlab kise malum tha
jin dinon aae the hum dil haar ke
Nomaan Shauque
ishq kya hai KHubsurat si koi afwah bas
wo bhi mere aur tumhaare darmiyan uDti hui
Nomaan Shauque
ishq mein sachcha tha wo meri tarah
bewafa to aazmane se hua
Nomaan Shauque
itni tazim hui shahr mein uryani ki
raat aankhon ne bhi ji bhar ke badan-KHwani ki
Nomaan Shauque
jaane kis ummid pe chhoD aae the ghar-bar log
nafraton ki sham yaad aae purane yar log
Nomaan Shauque
jaan-e-jaan mayus mat ho haalat-e-bazar se
shayad agle sal tak diwana-pan milne lage
Nomaan Shauque
jizya wasul kijiye ya shahr ujaDiye
ab to KHuda bhi aap ki marzi ka ho gaya
Nomaan Shauque

