kis qadar hijr mein behoshi hai
jagna bhi hai hamara sona
Nizam Rampuri
ku-e-jaanan mein gar ab jaen bhi to kya dekhen
koi rauzan na raha ban gai diwar nai
Nizam Rampuri
kya dua roz-e-hashr ki mangen
wahan par bhi yahi KHuda hoga
Nizam Rampuri
kya kisi se kisi ka haal kahen
nam bhi to liya nahin jata
Nizam Rampuri
lipTa ke shab-e-wasl wo us shoKH ka kahna
kuchh aur hawas is se ziyaada to nahin hai
Nizam Rampuri
main na kahta tha ki bahkaenge tum ko dushman
tum ne kis waste aana mere ghar chhoD diya
Nizam Rampuri
manzur kya hai ye bhi to khulta nahin sabab
milta to hai wo hum se magar kuchh ruka hua
Nizam Rampuri

