is qadar aap ka itab rahe
dil ko mere na iztirab rahe
Nizam Rampuri
jo jo maze kiye hain zaban se main kya kahun
pas apne aaj tak tere munh ka ugal hai
Nizam Rampuri
jo ki nadan hai wo kya jaane teri chahat ki qadr
ai pari diwana banna kaam hai hoshiyar ka
Nizam Rampuri
jo kuchh ishaare hote hain sab dekhta hun main
sari shararat aap ki meri nazar mein hai
Nizam Rampuri
kahin us bazm tak rasai ho
phir koi dekhe ehtimam mera
Nizam Rampuri
KHushbu wo pasine ki teri yaad na aa jae
gul kaisa kabhi itr bhi sungha na karenge
Nizam Rampuri
kis ka hai intizar kahan dhyan hai laga
kyun chaunk chaunk jate ho aawaz-e-pa ke sath
Nizam Rampuri

