jahan apna qissa sunana paDa
wahin hum ko rona rulana paDa
Aasi uldani
kahte hain ki ummid pe jita hai zamana
wo kya kare jis ko koi ummid nahin ho
Aasi uldani
murattab kar gaya ek ishq ka qanun duniya mein
wo diwane hain jo majnun ko diwana batate hain
Aasi uldani
sabr par dil ko to aamada kiya hai lekin
hosh uD jate hain ab bhi teri aawaz ke sath
Aasi uldani
arq baran tirgi aur zalzala
badla badla sa hai mausam ka mizaj
Aasim Shahnawaz Shibli
ghar ghar ja kar jo sune logon ki fariyaad
us ko apne ghar mein hi mile na koi dad
Aasim Shahnawaz Shibli
kaise nikhre shaeri aur tarz-e-izhaar
is mein hota hai miyan KHun-e-dil darka
Aasim Shahnawaz Shibli