kal bosa-e-pa hum ne liya tha so na aaya
shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa
Nazeer Akbarabadi
kal 'nazir' us ne jo puchha ba-zaban-e-punjab
neh wich meinDi a ki haal-e-tusada we miyan
Nazeer Akbarabadi
kal shab-e-wasl mein kya jald baji thin ghaDiyan
aaj kya mar gae ghaDiyal bajaane wale
Nazeer Akbarabadi
kamal-e-ishq bhi KHali nahin tamanna se
jo hai ek aah to us ko bhi hai asar ki tala
Nazeer Akbarabadi
KHafa dekha hai us ko KHwab mein dil saKHt muztar hai
khila de dekhiye kya kya gul-e-tabir-e-KHwab apna
Nazeer Akbarabadi
KHuda ke waste gul ko na mere hath se lo
mujhe bu aati hai is mein kisi badan ki si
Nazeer Akbarabadi
kis ko kahiye nek aur Thahraiye kis ko bura
ghaur se dekha to sab apne hi bhai-band hain
Nazeer Akbarabadi

