har ek makan mein guzargah-e-KHwab hai lekin
agar nahin to nahin ishq ke janab mein KHwa
Nazeer Akbarabadi
hastiyan nistiyan yan bhi hain aisi jaise
wo kamar aur wo dahan kuchh nahin aur sab kuchh hai
Nazeer Akbarabadi
husn ke naz uThane ke siwa
hum se aur husn-e-amal kya hoga
Nazeer Akbarabadi
ek dam ki zindagi ke liye mat uTha mujhe
ai be-KHabar main naqsh-e-zamin ki nishast hun
Nazeer Akbarabadi
ishq ka dur kare dil se jo dhaDka tawiz
is dhaDake ka koi hum ne na dekha tawiz
Nazeer Akbarabadi
ja paDe chup ho ke jab shahr-e-KHamoshan mein 'nazir'
ye ghazal ye reKHta ye sher-KHwani phir kahan
Nazeer Akbarabadi
jis kaam ko jahan mein tu aaya tha ai 'nazir'
KHana-KHarab tujh se wahi kaam rah gaya
Nazeer Akbarabadi

