gae the milne ko shayad jhiDak diya us ne
miyan 'nazir' to kuchh sharmsar aate hain
Nazeer Akbarabadi
gharaz na sar ki KHabar thi na pa ka hosh 'nazir'
sirhana paenti aur paenti sirhana tha
Nazeer Akbarabadi
ghash kha ke gira pahle hi shoale ki jhalak se
musa ko bhala kahiye to kya tur ki sujhi
Nazeer Akbarabadi
go safedi mu ki yun raushan hai jun aab-e-hayat
lekin apni to isi zulmat se thi zindagi
Nazeer Akbarabadi
hai dasahre mein bhi yun gar farhat-o-zinat 'nazir'
par diwali bhi ajab pakiza-tar tyauhaar hai
Nazeer Akbarabadi
hum haal to kah sakte hain apna pa kahen kya
jab wo idhar aate hain to tanha nahin aate
Nazeer Akbarabadi
hum wo daraKHt hain ki jise dam-ba-dam ajal
arrah idhar dikhati hai udhar tabar qaza
Nazeer Akbarabadi

