ab main hun meri jagti raaten hain KHuda hai
ya TuTte patton ke bikharne ki sada hai
Nazeer Ahmad Naji
aarzu KHub hai mauqa se agar ho warna
apne maqsud ko kam pahunche hain bisyar-tala
Nazeer Akbarabadi
aate hi jo tum mere gale lag gae wallah
us waqt to is garmi ne sab mat ki garmi
Nazeer Akbarabadi
ab to zara sa ganw bhi beTi na de use
lagta tha warna chin ka damad aagara
Nazeer Akbarabadi
abas mehnat hai kuchh hasil nahin patthar-tarashi se
yahi mazmun tha farhad ke teshe ki khaT-khaT ka
Nazeer Akbarabadi
abhi kahen to kisi ko na e'tibar aawe
ki hum ko rah mein ek aashna ne luT liya
Nazeer Akbarabadi
ai chashm jo ye ashk tu bhar lai hai kam-baKHt
is mein to sarasar meri ruswai hai kam-baKHt
Nazeer Akbarabadi

