ye sara qaziya to hum se hai is se tum ko kya
tum apne ek taraf ho raho hua so hawa
nayan sukh
maut se aage tak ke manzar dekhe hain
tanhai se yunhi Dar nahin jata main
Nayeem Gilani
utni der sameTun sare dukh tere
jitni der ai dost bikhar nahin jata main
Nayeem Gilani
aDhne lagi yaqin o guman mein jo kashmakash
wada bhi subh o sham pe Talta chala gaya
Nayyar Sultanpuri
di hai 'nayyar' mujh ko saqi ne ye kaisi KHas mai
sab ki nazren uTh rahi hain mere saghar ki taraf
Nayyar Sultanpuri
pahuncha na tha yaqin ki manzil pe main abhi
mera KHayal mujh se bhi aage nikal gaya
Nayyar Sultanpuri
sine pe kitne dagh liye phir raha hun main
zaKHmon ka ek bagh liye phir raha hun main
Nayyar Sultanpuri

