intizam-e-roz-e-ishrat aur kar ai na-murad
id aati hi rahi mah-e-siyam aa hi gaya
Natiq Gulavthi
is KHak-dan-e-dahr mein ghuTta agar hai dam
maqdur ho to aag laga de hawa na mang
Natiq Gulavthi
ji churane ki nahin shart dil-e-zar yahan
ranj uThane hi ki Thahri hai to phir dil se uTha
Natiq Gulavthi
jo bala aati hai aati hai bala ki 'natiq'
meri mushkil ka tariqa nahin aasan hona
Natiq Gulavthi
jurat-afza-e-sawal ai zahe andaz-e-jawab
aati jati hai ab is but ki nahin han ke qari
Natiq Gulavthi
kahne wale wo sunne wala main
ek bhi aaj dusra na hua
Natiq Gulavthi
kaifiyat-e-tazad agar ho na bayan-e-sher mein
'natiq' isi pe roe kyun chang-nawaz gae kyun
Natiq Gulavthi

