ho gaya hun main naqab-e-ru-e-raushan par faqir
chahiye tah-band mujh ko chadar-e-mahtab ka
Muneer Shikohabadi
ho gaya mamur aalam jab kiya darbar-e-am
taKHliya chaha to duniya saf KHali ho gai
Muneer Shikohabadi
huzur-e-duKHtar-e-raz hath panw kanpte hain
tamam maston ko rasha hai ru-ba-ru-e-shara
Muneer Shikohabadi
in rozon lutf-e-husn hai aao to baat hai
do din ki chandni hai phir andhiyari raat hai
Muneer Shikohabadi
jaan deta hun magar aati nahin
maut ko bhi naz-e-mashuqana hai
Muneer Shikohabadi
jaan kar us but ka ghar kaba ko sajda kar liya
ai barahman mujh ko baitullah ne dhoka diya
Muneer Shikohabadi
jati hai dur baat nikal kar zaban se
phirta nahin wo tir jo nikla kaman se
Muneer Shikohabadi

