dam bhar rahe habab-e-namat kaenat mein
is zindagi mein nam nahin mah-o-sal ka
Muneer Shikohabadi
das bis har mahine mein abru nazar paDe
is sal sare chand hue tis tis ke
Muneer Shikohabadi
dasht-e-wahshat mein nahin milta hai saya kanpta
main hun saudai mera ham-zad saudai nahin
Muneer Shikohabadi
daulat ke dant kund kiye mere hirs ne
khaTTa tamam sharbat-e-dinar kar diya
Muneer Shikohabadi
dekha hai aashiqon ne barahman ki aankh se
har but KHuda hai chahne walon ke samne
Muneer Shikohabadi
didar ka maza nahin baal apne bandh lo
kuchh mujh ko sujhta nahin andhiyari raat hai
Muneer Shikohabadi
dil le ke palken phir gain zulfon ki aaD mein
ulTe phiri ye fauj sar-e-sham lauT ke
Muneer Shikohabadi

