hasti hi apni kya hai zamane ke samne
ek KHwab hain jahan mein bikhar jaen hum to kya
Muneer Niyazi
hun makan mein band jaise imtihan mein aadmi
saKHti-e-diwar-o-dar hai jhelta jata hun main
Muneer Niyazi
ek aur dariya ka samna tha 'munir' mujh ko
main ek dariya ke par utra to main ne dekha
Muneer Niyazi
ek tez rad jaisi sada har makan mein
logon ko un ke ghar mein Dara dena chahiye
Muneer Niyazi
imtihan hum ne diye is dar-e-fani mein bahut
ranj khinche hum ne apni la-makani mein bahut
Muneer Niyazi
jangalon mein koi pichhe se bulae to 'munir'
muD ke raste mein kabhi us ki taraf mat dekho
Muneer Niyazi
jaanta hun ek aise shaKHs ko main bhi 'munir'
gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
Muneer Niyazi

