lutf tab amard-parasti ka hai bagh-e-KHuld mein
pas baiThe jabki ghilman aur khaDi ho hur du
Munawar Khan Ghafil
martaba mashuq ka aashiq se baala-dast hai
KHar ki ja zer-e-pa gul ka makan dastar pa
Munawar Khan Ghafil
nikla na dagh-e-dil se hamara to koi kaam
na wo charagh-e-dair na sham-e-haram hua
Munawar Khan Ghafil
parwane ke huzur jalaya na shama ko
bulbul ke aage phul na toDa gulab ka
Munawar Khan Ghafil
satana qatl karna phir jalana
wo be-talim kya kya jaante hain
Munawar Khan Ghafil
sitare gum hue KHurshid nikla
araq jab yar ne ponchha jabin se
Munawar Khan Ghafil
tark-e-sharab bhi jo karunga to mohtasib
toDunga tere sar se piyala sharab ka
Munawar Khan Ghafil

