hai hukm-e-am ishq alaihis-salam ka
pujo buton ko bhed kuchh in mein KHuda ke hain
Ahmad Husain Mail
ja ke main ku-e-butan mein ye sada deta hun
dil o din bechne aaya hai musalman koi
Ahmad Husain Mail
jalson mein KHalwaton mein KHayalon mein KHwab mein
pahunchi kahan kahan nigah-e-intizar aaj
Ahmad Husain Mail
jitne achchhe hain main hun un mein bura
hain bure jitne un mein achchha hun
Ahmad Husain Mail
jo aae hashr mein wo sab ko marte aae
jidhar nigah phiri choT par lagai choT
Ahmad Husain Mail
jo un ko lipTa ke gal chuma haya se aane laga pasina
hui hai boson ki garm bhaTTi khinche na kyunkar sharab-e-ariz
Ahmad Husain Mail
khol kar zulf-e-musalsal ko paDhi us ne namaz
ghar mein allah ke bhi jal bichha kar aaya
Ahmad Husain Mail