ozi-rasan KHuda hai fikr-e-maash mat kar
is KHar ka tu dil mein KHauf-e-KHarash mat ka
Meer Mohammadi Bedar
saye se apne wahshat karte hain misl-e-ahu
mushkil hai hath lagna az-KHud ramidgan ka
Meer Mohammadi Bedar
sab luTa ishq ke maidan mein uryan aaya
rah gaya pas mere daman-e-sahra baqi
Meer Mohammadi Bedar
sharab o saqi-e-mah-ru jo sath hon 'bedar'
to KHush-numa hai shab-e-mahtab mein dariya
Meer Mohammadi Bedar
tegh-bar-dosh super hath mein daman kardan
ye bana surat-e-KHunKHar kahan jata hai
Meer Mohammadi Bedar
Tuk ai but apne mukhDe se uTha de gosha-e-burqa
ki in masjid-nashinon ko hai dawa din-dari ka
Meer Mohammadi Bedar
yaad karte hain tujhe dair-o-haram mein shab-o-roz
ahl-e-tasbih juda sahib-e-zunnar juda
Meer Mohammadi Bedar

