wo aa rahe hain sambhal sambhal kar nazara be-KHud faza jawan hai
jhuki jhuki hain nashili aankhen ruka ruka daur-e-asman hai
Majrooh Sultanpuri
zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'
hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe
Majrooh Sultanpuri
aaj ho jaane do har ek ko bad-mast-o-KHarab
aaj ek ek ko pilwao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chashm-e-nam muskuraati rahi raat bha
Makhdoom Mohiuddin
azm se dur wo gata raha tanha tanha
so gaya saz pe sar rakh ke sahar se pahle
Makhdoom Mohiuddin
chashm o ruKHsar ke azkar ko jari rakkho
pyar ke name ko doharao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
dip jalte hain dilon mein ki chita jalti hai
ab ki diwali mein dekhenge ki kya hota hai
Makhdoom Mohiuddin

