ek jhonka tere pahlu ka mahakti hui yaad
ek lamha teri dildari ka kya kya na bana
Makhdoom Mohiuddin
ek tha shaKHs zamana tha ki diwana bana
ek afsana tha afsane se afsana bana
Makhdoom Mohiuddin
hum ne hans hans ke teri bazm mein ai paikar-e-naz
kitni aahon ko chhupaya hai tujhe kya malum
Makhdoom Mohiuddin
hayat le ke chalo kaenat le ke chalo
chalo to sare zamane ko sath le ke chalo
Makhdoom Mohiuddin
hijr mein milne shab-e-mah ke gham aae hain
chaarasazon ko bhi bulwao ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
hujum-e-baada-o-gul mein hujum-e-yaran mein
kisi nigah ne jhuk kar mere salam liye
Makhdoom Mohiuddin
is shahr mein ek aahu-e-KHush-chashm se hum ko
kam kam hi sahi nisbat-e-paimana rahi hai
Makhdoom Mohiuddin

