jin ki hasrat mein dil-e-ruswa ne gham khae bahut
sang hum par in darichon ne hi barsae bahut
Mahtab Zafar
zaban zaban pe shor tha ki raat KHatm ho gai
yahan sahar ki aas mein hayat KHatm ho gai
Mahtab Zafar
qafas se aashiyan tabdil karna baat hi kya thi
hamein dekho ki hum ne bijliyon se aashiyan badla
Mahzar Lakhnavi
hae wo hath bhi talwar-e-sitam kaT gai
jo tha aandhi mein charaghon ko jalane wala
Maikash Ajmeri
aap ki meri kahani ek hai
kahiye ab main kya sunaun kya sunun
Maikash Akbarabadi
aiThe rahe wo KHun-e-tamanna kiye hue
dekha kiye unhen nigah-e-iltija se hum
Maikash Akbarabadi
charagh-e-kushta le kar hum teri mahfil mein kya aate
jo din the zindagi ke wo to raste mein guzar aae
Maikash Akbarabadi

