hum ne lale ki tarah is daur mein
aankh kholi thi ki dekha dil ka KHun
Maikash Akbarabadi
kuchh is tarah teri ulfat mein kaT di main ne
gunahgar hua aur na pak-baz raha
Maikash Akbarabadi
mere fusun ne dikhai hai tere ruKH ki sahar
mere junun ne banai hai tere zulf ki sham
Maikash Akbarabadi
nahin hai dil ka sukun qismat-e-tamanna mein
tumhein bhi dil ki tamanna bana ke dekh liya
Maikash Akbarabadi
naza tak dil us ko dohraya kiya
ek tabassum mein wo kya kuchh kah gae
Maikash Akbarabadi
pahunch hi jaega ye hath teri zulfon tak
yunhi junun ka agar silsila daraaz raha
Maikash Akbarabadi
sab kuchh hai aur kuchh nahin ai dad-KHwah-e-ishq
wo dekh kar na dekhna nichi nigah se
Maikash Akbarabadi

