اردو हिंदी
KHushi se ya ba-majburi qafas se aashiyan badla | Shaahi Shayari
KHushi se ya ba-majburi qafas se aashiyan badla

Ghazal

KHushi se ya ba-majburi qafas se aashiyan badla

Mahzar Lakhnavi

;

KHushi se ya ba-majburi qafas se aashiyan badla
magar us waqt jab sara nizam-e-gulsitan badla

qafas se aashiyan tabdil karna baat hi kya thi
hamein dekho ki hum ne bijliyon se aashiyan badla

baDi dushwariyan pesh aain manzil tak pahunchne mein
kabhi ye karwan badla kabhi wo karwan badla