sari umr kisi ki KHatir suli pe laTka raha
shayad 'tur' mere andar ek shaKHs tha zinda bahut
Krishna Kumar Toor
sab ka daman motiyon se bharne wale
meri aankh mein bhi ek aansu rakhna tha
Krishna Kumar Toor
safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-mani
badan na ho to bhala kya qaba mein rakkha hai
Krishna Kumar Toor
un se kya rishta tha wo kya mere lagte the
girne lage jab peD se patte to main roya bahut
Krishna Kumar Toor
us ko khona asl mein us ko pana hai
hasil ka hi partaw hai la-hasil mein
Krishna Kumar Toor
wo bhi mujh ko bhula ke bahut KHush baiTha hai
main bhi us ko chhoD ke 'tur' nihaal hua
Krishna Kumar Toor
ye asrar hai zahir us ke hone ka
manzar ho ya pas-manzar gahra pani
Krishna Kumar Toor

