kuchh ghazlen un zulfon par hain kuchh ghazlen un aankhon par
jaane wale dost ki ab ek yahi nishani baqi hai
Kumar Pashi
kyun logon se mehr-o-wafa ki aas lagae baiThe ho
jhuT ke is makruh nagar mein logon ka kirdar kahan
Kumar Pashi
meri dahliz par chupke se 'pashi'
ye kis ne rakh di meri lash la ka
Kumar Pashi
nai nai aawazen ubhrin 'pashi' aur phir Dub gain
shahr-e-suKHan mein lekin ek aawaz purani baqi hai
Kumar Pashi
oDh liya hai main ne libaada shishe ka
ab mujh ko kisi patthar se Takrane do
Kumar Pashi
teri yaad ka har manzar pas-manzar likhta rahta hun
dil ko waraq banata hun aur shab bhar likhta rahta hun
Kumar Pashi
aadmi hona KHuda hone se behtar kaam hai
KHud hi KHud ke KHwab ki tabir ban kar dekh le
Kumar Vishwas

