ne gul ko hai sabaat na hum ko hai e'tibar
kis baat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen
Khwaja Meer u0027Dardu0027
qasid nahin ye kaam tera apni rah le
us ka payam dil ke siwa kaun la sake
Khwaja Meer u0027Dardu0027
qatl se mere wo jo baz raha
kisi bad-KHwah ne kaha hoga
Khwaja Meer u0027Dardu0027
qatl-e-ashiq kisi mashuq se kuchh dur na tha
par tere ahd se aage to ye dastur na tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027
aat majlis mein tere husn ke shoale ke huzur
shama ke munh pe jo dekha to kahin nur na tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027
aunde hai naqsh-e-pa ki tarah KHalq yan mujhe
ai umr-e-rafta chhoD gai tu kahan mujhe
Khwaja Meer u0027Dardu0027
saqi mere bhi dil ki taraf Tuk nigah kar
lab-tishna teri bazm mein ye jam rah gaya
Khwaja Meer u0027Dardu0027

