jo nur bharte the zulmat-e-shab ke sahra mein
wo chand tare falak se utar gae shayad
Khaleel Mamoon
lafzon ka KHazana bhi kabhi kaam na aae
baiThe rahen likhne ko tera nam na aae
Khaleel Mamoon
main manzilon se bahut dur aa gaya 'mamun'
safar ne kho diye sare nishan tumhaari taraf
Khaleel Mamoon
masruf-e-gham hain kaun-o-makan jagte raho
KHwabon se uTh raha hai dhuan jagte raho
Khaleel Mamoon
meri tarah se ye bhi sataya hua hai kya
kyun itne dagh dikhte hain mahtab mein abhi
Khaleel Mamoon
mera wajud o adam bhi ek hadsa naya hai
main dafn hun kahin kahin se nikal raha hun
Khaleel Mamoon
mujhe pahunchna hai bas apne-ap ki had tak
main apni zat ko manzil bana ke chalta hun
Khaleel Mamoon

