dil mein umang aur irada koi to ho
be-kaif zindagi mein tamasha koi to ho
Khaleel Mamoon
fath ke jashn mein hain sab sarshaar
main to apni hi mat mein gum hun
Khaleel Mamoon
har ek jagah bhaTakte phirenge sari umr
bil-aKHir apne hi ghar jaenge kisi din hum
Khaleel Mamoon
har ek kaam hai dhoka har ek kaam hai khel
ki zindagi mein tamasha bahut zaruri hai
Khaleel Mamoon
hazaron chand sitare chamak gae hote
kabhi nazar jo teri mail-e-karam hoti
Khaleel Mamoon
jangalon mein kahin kho jaana hai
jaanwar phir mujhe ho jaana hai
Khaleel Mamoon
jawab DhunD ke sare jahan se jab lauTe
hamein to kar gaya yak-laKHt la-jawab koi
Khaleel Mamoon

