nikal aae tanha teri rah-guzar par
bhaTakne ko hum karwan chhoD aae
Kaif Azimabadi
tum samundar ki rifaqat pe bharosa na karo
tishnagi lab pe sajae hue mar jaoge
Kaif Azimabadi
aag ka kya hai pal do pal mein lagti hai
bujhte bujhte ek zamana lagta hai
Kaif Bhopali
aap ne jhuTa wada kar ke
aaj hamari umr baDha di
Kaif Bhopali
chahta hun phunk dun is shahr ko
shahr mein in ka bhi ghar hai kya karun
Kaif Bhopali
chaar jaanib dekh kar sach boliye
aadmi phirte hain sarkari bahut
Kaif Bhopali
chalte hain bach ke shaiKH o barhaman ke sae se
apna yahi amal hai bure aadmi ke sath
Kaif Bhopali

