mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab
umr bhar honTon pe apne main zaban phera kiye
Jurat Qalandar Bakhsh
mujh ko hua ye KHak-nashini se faeda
tha dil ke aaine pe jo kuchh rang uD gaya
Jurat Qalandar Bakhsh
mujh mast ko kyun bhae na wo sanwli surat
ji dauDe hai mai-kash ka ghiza-e-namakin pa
Jurat Qalandar Bakhsh
na hai ab KHak-afshani na hairani na uryani
junun gar aa gaya to le ke sab saman aawega
Jurat Qalandar Bakhsh
naseh bahut ba-fikr-e-rafu tha pe jun hubab
mutlaq na us ke hath mera pairahan laga
Jurat Qalandar Bakhsh
naseh mere rone ka na mane ho ki aashiq
gar ye na kare kaam to phir kaam kare kya
Jurat Qalandar Bakhsh
nahin til dharne ki jagah jo ba-afzuni-e-husn
dekha shab us ko to ek KHal ba-ruKHsar na tha
Jurat Qalandar Bakhsh

