mohabbat si shai us ne mujh ko ata ki
ki KHush KHush chalun umr barbaad kar ke
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
phir wahi sauda wahi wahshat wahi tarz-e-junun
hain nishan maujud sare ishq ki tasir ke
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
suKHan-sazi mein lazim hai kamal-e-ilm-o-fan hona
mahz tuk-bandiyon se koi shaer ho nahin sakta
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
tang paimai ka shikwa saqi-e-azali se kiya
hum ne samjha hi nahin dastur-e-mai-KHana abhi
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
tu ne hi rah na dikhai to dikhaega kaun
hum teri rah mein gumrah hue baiThe hain
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
zamana ye aa gaya hai 'rahbar' ki ahl-e-binash ko kaun puchhe
jame hain makkar kursiyon par dikha rahe hain ganwar aankhen
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
aaDe aaya na koi mushkil mein
mashware de ke haT gae ahba
Josh Malihabadi

