hai fahm us ka jo har insan ke dil ki zaban samjhe
suKHan wo hai jise har shaKHs apna hi bayan samjhe
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
hum ru-ba-ru-e-shama hain is intizar mein
kuchh jaan paron mein aae to uD kar nisar hon
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
har shai mein har bashar mein nazar aa raha hai tu
sajde mein apne sar ko jhukaun kahan kahan
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
kaisi kashish hai ishq ke TuTe mazar mein
mela laga hua hai hamare dayar mein
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
khinchte jate hain KHud meri jaanib
mujh ko jyun jyun wo aazmate hain
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
mahw-e-didar hue jate hain rah-rau sare
ek tamasha hua goya ruKH-e-dilbar na hua
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
mohabbat mein nahin hai ibtida ya intiha koi
hum apne ishq ko hi ishq ki manzil samajhte hain
Jitendra Mohan Sinha Rahbar

