jaDe ki rut hai nai tan par nili shaal
tere sath achchhi lagi sardi ab ke sal
Jayant Parmar
jugnu tha tara tha kya tha
darwaze par kaun khaDa tha
Jayant Parmar
lakh chhupae na chhupe in raaton ka bhed
aankhon ke aakash mein paDhe the chaaron wed
Jayant Parmar
lams ki wo raushni bhi bujh gai
jism ke andar andhera aur hai
Jayant Parmar
mang bharun sindur se sajun sola-singar
jab tak pahnungi nahin un bahon ka haa
Jayant Parmar
main hun aur ye dur tak dhup ka rasta sath
kandhe par saya koi rakh deta hai hath
Jayant Parmar
daftar ki thakan oDh ke tum jis se mile ho
us shaKHs ke taza lab-o-ruKHsar to dekho
Jazib Quraishi

