dard zanjir ki surat hai dilon mein maujud
is se pahle to kabhi is ke ye pairae na the
Afzal Minhas
dil ki masjid mein kabhi paDh le tahajjud ki namaz
phir sahar ke waqt honTon par dua bhi aaegi
Afzal Minhas
ek hi fankar ke shahkar hain duniya ke log
koi bartar kis liye hai koi kam-tar kis liye
Afzal Minhas
hawa ke phul mahakne lage mujhe pa kar
main pahli bar hansa zaKHm ko chhupae hue
Afzal Minhas
insan be-hisi se hai patthar bana hua
munh mein zaban bhi hai lahu bhi ragon mein hai
Afzal Minhas
jaane ye hiddat chaman ko ras aae ya nahin
aag jaisi kaifiyat hai KHushbuon ki lahr mein
Afzal Minhas
kya faisla diya hai adalat ne chhoDiye
mujrim to apne jurm ka iqbaal kar gaya
Afzal Minhas