parinde laD hi paDe jaedad par aaKHir
shajar pe likkha hua hai shajar barae-faroKHt
Afzal Khan
sathiyo ab mujhe raste mein utarna hoga
Dubti naw bachane ka nahin hal koi au
Afzal Khan
saza-e-maut pe fariyaad se to behtar hai
gale laga ke kahun dar ko mubarak baad
Afzal Khan
shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na
tu sach bata ye mulaqat aaKHri hai na
Afzal Khan
tabhi to main mohabbat ka hawalati nahin hota
yahan apne siwa koi mulaqati nahin hota
Afzal Khan
tere jaane se zyaada hain na kam pahle the
hum ko lahaq hain wahi ab bhi jo gham pahle the
Afzal Khan
teri masnad pe koi aur nahin aa sakta
ye mera dil hai koi KHali asami to nahin
Afzal Khan