KHali hua gilas nasha sar mein aa gaya
dariya utar gaya to samundar mein aa gaya
Afzal Naved
ki jaise KHud se mulaqat ho nahin pati
jahan se uTTha hua hai KHamir khinchta hun
Afzal Naved
main ne bachpan ki KHushbu-e-nazuk
ek titli ke sang uDai thi
Afzal Naved
ahti hai shab-o-roz mein barish si teri yaad
KHwabon mein utar jati hain ghanghor si aankhen
Afzal Naved
akh liye rauzan-e-zindan pe parinde sare
jo na wan rakhne the diwan mein rakh chhoDe hain
Afzal Naved
so jati hai basti to makan pichhli gali mein
tanha khaDa rahta hai makinon se nikal ka
Afzal Naved
alakh jamae dhuni ramae dhyan lagae rahte hain
pyar hamara maslak hai hum prem-guru ke chele hain
Afzal Parvez