kachchi diwaren sada-noshi mein kitni taq thin
pattharon mein chiKH kar dekha to andaza hua
Jamuna Parsad Rahi
kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao
apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao
Jamuna Parsad Rahi
kaun hai tujh sa jo banTe meri din bhar ki thakan
muzmahil raat hai bistar ka badan dukhta hai
Jamuna Parsad Rahi
lauT bhi aaya to sadiyon ki thakan laega
subh ka bhula hua sham ko ghar aane tak
Jamuna Parsad Rahi
main lafz-e-KHam hun koi ki tarjuman-e-ghazal
ye faisla kisi taza kitab par Thahra
Jamuna Parsad Rahi
sadiyon ka intishaar fasilon mein qaid tha
dastak ye kis ne di ki imarat bikhar gai
Jamuna Parsad Rahi
doston aur dushmanon mein kis tarah tafriq ho
doston aur dushmanon ki be-ruKHi hai ek si
Jan Kashmiri

