agar ye zid hai ki mujh se dua salam na ho
to aisi rah se guzro jo rah-e-am na ho
Jamill Murassapuri
aur jo hoga wo bhi dekhenge
waise kya kuchh nahin hua hai miyan
Jamill Murassapuri
ghar apna kisi aur ki nazron se na dekho
har tarah se ujDa hai magar phir bhi saja hai
Jamill Murassapuri
sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai
saya bhi juda ho gaya jab waqt paDa hai
Jamill Murassapuri
ye daur bhi kya daur hai is daur mein yaro
sach bolne walon ka hi anjam bura hai
Jamill Murassapuri
ye kaisa waqt mujh par aa gaya hai
mere qad se mera saya baDa hai
Jamill Murassapuri
honTon se wo dekhta hai mujh ko
aankhon se mujhe pukarta hai
Jamshed Masroor

