hiD mein zamane ki hum sada akele the
wo bhi dur hai kitna jo rag-e-gulu mein hai
Jami Rudaulvi
zahr zindagani ka pi ke aql aai hai
daru-e-gham-e-hasti talKHi-e-subu mein hai
Jami Rudaulvi
apne bare mein jab bhi socha hai
us ka chehra nazar mein ubhra hai
Jamil Nazar
aDa ajib hai tahzib-e-irteqa ke liye
tamam umr kisi ek ko ham-nawa rakhna
Jamil Nazar
e-wafa hi sahi zamane mein
hum kisi fan ki intiha to hue
Jamil Nazar
dekhiye to hai karwan warna
har musafir safar mein tanha hai
Jamil Nazar
na qurb-e-zat hi hasil na zaKHm-e-ruswai
ajib lagta hai ab KHud se rabta rakhna
Jamil Nazar

