kaun si aisi kami mere KHad-o-KHal mein hai
aaina KHush nahin hota kabhi mil kar mujh se
Afzal Gauhar Rao
kis pyas se KHali hua mashkiza hamara
dariya se jo uTh aae hain sahra ki taraf hum
Afzal Gauhar Rao
kya musibat hai ki har din ki mashaqqat ke ewaz
bandh jata hai koi raat ka patthar mujh se
Afzal Gauhar Rao
main ek ishq mein nakaam kya hua 'gauhar'
har ek kaam mein mujh ko KHasara hone laga
Afzal Gauhar Rao
meri nazar to KHalaon ne bandh rakkhi thi
mujhe zamin se kahan aasman dikhai diya
Afzal Gauhar Rao
meri to aankh mera KHwab TuTne se khuli
na jaane panw dhara nind mein kahan main ne
Afzal Gauhar Rao
tumhein hi sahra sambhaalne ki paDi hui hai
nikal ke ghar se bhi hum to ghar se bandhe hue hain
Afzal Gauhar Rao