اردو हिंदी
Main apni zat mein jab se sitara hone laga | Shaahi Shayari
main apni zat mein jab se sitara hone laga

Ghazal

Main apni zat mein jab se sitara hone laga

Afzal Gauhar Rao

;

main apni zat mein jab se sitara hone laga
phir ek charagh se mera guzara hone laga

meri chamak ke nazare ko chahiye kuchh aur
main aaine pe kahan aashkara hone laga

ye kaisi barf se us ne bhigo diya hai mujhe
pahaD jaisa mera jism gara hone laga

zamin se main ne abhi eDiyan uThai thin
ki aasman ka mujh ko nazara hone laga

ajib sur-e-sarafil us ne phunk diya
pahaD apni jagah para para hone laga

main ek ishq mein nakaam kya hua 'gauhar'
har ek kaam mein mujh ko KHasara hone laga