yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai
hum ne tujhe is dil se bhulaya to nahin hai
Afzal Allahabadi
yun elaj-e-dil bimar kiya jaega
sharbat-e-did se sarshaar kiya jaega
Afzal Allahabadi
apne badan se lipTa hua aadmi tha main
mujh se chhuDa ke mujh ko bata kaun le gaya
Afzal Gauhar Rao
chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyan
shahr ka shahr hamara to nahin ho sakta
Afzal Gauhar Rao
ek hi daere mein qaid hain hum log yahan
ab jahan tum ho koi aur wahan tha pahle
Afzal Gauhar Rao
gumrah kab kiya hai kisi rah ne mujhe
chalne laga hun aap hi apne KHilaf mein
Afzal Gauhar Rao
hijr mein itna KHasara to nahin ho sakta
ek hi ishq dobara to nahin ho sakta
Afzal Gauhar Rao