gham-e-hayat ne baKHshe hain sare sannaTe
kabhi hamare bhi pahlu mein dil dhaDakta tha
Irfan Ahmad
jaane kis shahr mein aabaad hai tu
hum hain barbaad yahan tere baad
Irfan Ahmad
nashsha tha zindagi ka sharabon se tez-tar
hum gir paDe to maut uTha le gai hamein
Irfan Ahmad
tark-e-talluqat ki bas intiha na puchh
ab ke to main ne tark kiya apne aap ko
Irfan Ahmad
zaKHm jo tu ne diye tujh ko dikha to dun magar
pas tere bhi nasihat ke siwa hai aur kya
Irfan Ahmad
ghar se niklo to dua mang ke niklo warna
lauT aane ka nahin apne bharosa koi
Irfan Parbhanvi
aabaad mujh mein tere siwa aur kaun hai?
tujh se bichhaD raha hun tujhe kho nahin raha
Irfan Sattar

