ghazal ke rang mein malbus ho kar
rubab-e-dard se aahang nikla
Iqbal Kaifi
guhar samjha tha lekin sang nikla
kisi ka zarf kitna tang nikla
Iqbal Kaifi
KHizan ka daur bhi aata hai ek din 'kaifi'
sada-bahaar kahan tak daraKHt rahte hain
Iqbal Kaifi
main aise husn-e-zan ko KHuda manta nahin
aahon ke ehtijaj se jo mawara rahe
Iqbal Kaifi
mohabbaton ko bhi us ne KHata qarar diya
magar ye jurm hamein bar bar karna hai
Iqbal Kaifi
phulon ka tabassum bhi wo pahla sa nahin hai
gulshan mein bhi chalti hai hawa aur tarah ki
Iqbal Kaifi
yahi nahin ki nigahon ko ashk-bar kiya
tere firaq mein daman bhi tar tar kiya
Iqbal Kaifi

