hain ghar ki muhafiz meri dahki hui aankhen
main taq mein rakh aaya hun jalti hui aankhen
Imtiyaz Saghar
hoga bahut shadid tamazat ka intiqam
sae se mil ke roegi diwar dekhna
Imtiyaz Saghar
usi daraKHt ko mausam ne be-libas kiya
main jis ke sae mein thak kar udas baiTha tha
Imtiyaz Saghar
ab yun hi dekhta hun rasta
manzil pesh-e-nazar nahin hai
Imtiyaz-ul-haq Imtiyaz
guzri sawal-e-wasl ke chakkar mein sari umr
fursat na mil saki use guft-o-shunid ki
Inam Durrani
apni hi rawani mein bahta nazar aata hai
ye shahr bulandi se dariya nazar aata hai
Inam Nadeem
ujh jaega ek roz teri yaad ka shola
lekin mere sine mein dhuan yun hi rahega
Inam Nadeem

