suKHan ke sare saliqe zaban mein rakhta hai
nahin ka aks nihan apni han mein rakkha hai
Inam-ul-Haq Javed
tamam umr ganwa di jise bhulane mein
wo nisf mazi ka qissa tha nisf haal ka tha
Inam-ul-Haq Javed
wo degree ki bajae mam le kar lauT aaya hai
mila tha daKHila jis ko samundar-par college mein
Inam-ul-Haq Javed
ab kisi kaam ke nahin ye rahe
dil wafa ishq aur tanhai
Inder Saraazi
aur to koi tha nahin shayad
raat ko uTh ke main hi chiKHa tha
Inder Saraazi
aDi mushkil se bahlaya tha KHud ko
achanak yaad teri aa gai phi
Inder Saraazi
dil ke KHun se bhi sinch kar dekha
peD kyun ye hara nahin hota
Inder Saraazi

